Breaking Tracker

No title


Namaz Ka Tarika

Points :-


1 ) Namaz Parhne Ka Tarika Ye Hai Ki Sab Se Phele Acche Se Wazu Karen .


2 ) Qible Ki Taraf ( Yani Kabe Ki Taraf ) Muh Kar Ke Khare Ho Jain . or Dono Pair Ke Bich Me 4 Ungli ka Fasla ( Distance ) Rakhen .

Note :- Or Sab Ungli Qible ki taraf Hon


3) Niyyat Dil Ke Irade Ko Kehte Hai Yani Agar Dil Me Namaz Ki Niyyat Hoto Namaz Ho Jaygi 
Magar Muh Se kehna Behtar Hai .

Note:- Namaz Ki Niyyat karen Jis Waqt ki Namaz Parh Rahe Ho Us Waqt Ki Namaz Ki Niyyat Karen 
( For Example ) Maslan
NIYYAT :-
Niyyat Ki Me 2 Ya 4 Raakat Farz Namaz Fajr Ki Waste Allah Talaa Ke Liye Muh Mera Kaba Shareef Ki Taraf.
Note :- Agar Imam Ke Piche Hon To Ye Niyyat Karen
NIYYAT :-
Niyyat Ki Me 2 Ya 4 Raakat Farz Namaz Fajr Ki Waste Allah Talaa Ke Liye Piche is Imam Ke Muh Mera Kaba Shareef Ki Taraf.


4 ) Dono Haath Kano Tak Uthaye Is Tarha Ke Dono Haath Ki Hatheli Qible ki Taraf Ho


Or Hathon Ko Kano Tak Le Jain Or Allahu Akbar Kehta Hua Dono Haath Naaf Ke Niche Band Len .







Note :- Haath Is Tarha Rakhen Ke Ulata Haath ( left hand ) Niche Or Sidha Haath ( Right Hand ) Upar Ho or Ungliyon Ka Halka Bana len .

5 )  Phir Sana Parhen .
Sana :-  
Subhanaka Allahumma Wa bihamdikab
Wa Tabarakas Muka Wa Talaa Jadduka Wa ilaaha Waruk 


6 ) Tauz Or Tasmiyah Yani ( Aauzu Or Bismillah ) Parhen .

7 ) Uske Baad Surah Fatiha Parhen .
Surah Fatiha :-
8 ) Uske Baad ( Tasmiya Yani Bismillah ) Parhen Phir Jo Surah Yaad Hi Wo Parhen  . Maslan ( For Example )
Surah Falak :-
9 ) Ab Allahu Akbar Kehta Hua Ruku Me Jain
Note :- Ruku Me Is tarah jain ke
Dono Haath Ghutne Par Ho Or Pith Sidhi Ho .
10 ) Ab Ruku Ki Tasbih Parhen
Note :- Tasbih Kam se kam 3 Baar parhen
Ruku ki Tasbih :-
11 ) Ab Samiy Allahu Liman Hamidah Kehta Hua Khara Hi Jain .
12 ) Phir Allahu Akbar Kehta Hua Sajde Me Jain
Note :- Sajde Me Is Tarha Jain ke phele Dono Ghutne zamin par rakhen uske baad Dono Haath Phir Naak Zamin Par Rakhen Phir Uske Baad Peshani Rakhen .
13 ) Ab Sajde Ki Tasbih Parhen .
Note :- Tasbih Kam Se Kam 3 Baar parhen .
Sajde Ki Tasbih :-
14 ) Ab Allahu Akbar Kehta Hua Sajde Se Utha Kar Baith Jain
Note :- Is Tarha Baithen Ke Ulta ( Left ) Pair Bicha Den Uske Baad Sidha ( Rigth ) Pair Khara Kar Den ( Isko Kehete Hain Jalsa ) Phir Uske Baad Waise Hi Sajda Karen .
15 ) 2 Sajde Mukammal Hone Ke Baad Allahu Akbar Kehta Hua 2 Dusri Rakat Ke Liye Khare Hon Jain.
16 ) Dusri Rakat Ko Bhi Waise Hi Mukammal Karen Phele Tauz Tasmiyah ( AAuz or Bismillah ) Parhen phir Uske Baad Surah Fatiha Phir Jo Surah Yaad Ho Wo Parhen .
Phir Phele ki Tarah Ruku  Karen Phir 2 Sajde Karen
Note :- Ab 2 Dono Sajde Karne Ke Baad Baitha Jain
17 ) Yahan Baithne Ko Khete Hain ( Tashahud ) Yahan Phele Attahiyat Parehen.
18 ) Attahiyat

19 ) Phir Uske Baad Daroode Ibrahim Parhen .
Daroode Ibrahim :-

20 ) Phir Uske Baad Dua E Masura Parhen .
Dua E Masura :-
21 ) Uske Baad Salam Ke Liye Ye Alfaz Khen
Salam Ke Alfaz
Assalamu Alaikum Wa rahmatullah ( Right )
Assalamu Alaikum Wa rahmatullah ( Left )
22 ) phir Sidhe ( Right ) Kandhe ( Shoulder )  Ki Taraf Muh Pheren Or Uske Baad Ulti ( Left ) Kandhe ( Shoulder ) Ki Taraf Muh Pheren

Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.