Breaking Tracker

Hazrat Shah Wajihuddin Alvi Gujrati R-A Ki Zinda Karamat

 Hazrat Shah Wajihuddin Alvi Gujrati R-A Ki Zinda Karamat

Hazrat Shah Wajihuddin R-A

            Hazrat Shah Wajihuddin Alvi Gujrati R-A Ka Astana Mubarak Faizo Karam Ka Dariya Hai Jahan Har Dino Raat Karamaton Ka Zahoor Hota Rehta Hai, Jin Me Se Ek Karamat Aap Ki Ye Hai Ke Aap Ki Astane Ki Chokhat Ki Barkat Ye Hai, Ke Jo Shaks Gunga Ho Ya Thik Se Bolna Pata Ho, Baat Karne Me Haklata Ho To Wo Aap R-A Ke Astane Ki Chokhat Par Shakkar Rakh Kar Apni Zuban Se Chatle To Allah Taala Aap Ke Sadko Tufail Use Mukammal Shifa Aata Farmata Hai.



Jaise Ke Aap Is Post Me Dekh Sakte Hain Ke Aap R-A Ki Chokhat Par Shakkar Rakhi Hui Hai. OR Dargah Me Aane Wale Zaireen Khud OR Apne Bacchon Se Is Chokhat Ki Shakkar Chatwate Hai. Taki Aap R-A Ke Faizo Karam Se Use Shifa Mil Jaye. Ye Hazrat Shah Wajihuddin R-A Ki Zinda Karamat Hai. 



          Issi Taraha Aap R-A Ki Ek OR Karamat Jo Aaj Bhi Aap Ki Bargah Me Maujood Hai OR Log Isse Faiz Hasil Karte Hain. OR Shifayab Hote Hain. Aap R-A Ki Bargah Me Ek Pani Ka Hoz Hai Ye Hi Wo  Karamati Hoz Hai Jiska Pani Logon Ke Liye Shifa Hai. Is Ki Karamat Ka Waqia Kuch Yun Hai.



Tarikhi Kitabon Me Ye Bayan Hai Ke Jis Saal Hazrat Shah Wajihuddin Alvi Gujrati R-A Ka Hone Wala Tha To Us Saal Aap Ki Masjid Ke Hoz Ke Pani Rang Badal Gaya. Logone Pani Nikalna Chaha Lekin Pani Nikalne Ka Jo Nala Tha Us Me Ke Lakdi Fans Gai Thi. Jo Kisi Bhi Taraha Nikal Nahi Rahi Thi, Ittefak Se Hazrat Shah Wajihuddin Gujrati R-A Hoz Par Aaye, OR Apne Haath Me Pani Le Kar Gor Se Dekha Fir Wapas Ussi Hoz Me Pani Undhel Diya Aisa Aap Ne 3 Martaba Kiya. Allah Paak Ne Aap Ki Tawajju OR Barkat Se Us Pani Ko Abe Hayat Ki Tarha Kar Diya. Jinka Dimag Kamzor Ho Ya Jone Kuch Yaad Na Rehta Ho To Unke Liye Ye Pani Bohat Mufeed Hai, Ye Bhi Aap R-A Ki Zinda Karamat Hai. 

Hazrat Shah Wajihuddin R-A 



Nazreen Agar Aap Hazrat Shah WAjihuddin Alvi Gujrati R-A Ki Sawane Hayat Ki Complete Video Dekhna Chahate Ho To Niche Link Par Click Karen.








Posted By :- Mudassir Noori



Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.