Hazrat Maulana Kalimuddin Musa Suhag R-A
Hazrat Musa Suhag R-A |
Aap Ka Pura Naam Hazrat Maulana Kalimuddin Musa Suhag Suharwardi Chishty R-A Hai.
Aap Awam Me Musa Suhag Ke Naam Se Mashoor Hain, Aap Bade Hi Jalilul Qadr Walie Kamil Hain. Or Aap Silsile Suharwardiya Me Mureed Wo Khalifa Hain.
Aap R-A Ka Silsile Mubarak Kuch Yun Bayan Kiya Jata Hai.
Aap Mureed O Khalifa Hain Hazrat Shah Sikandar Bodhla Ke Wo Mureed Hain Shah Jiulal Qalandar Ke OR Wo Mureed Hain Shah Jamal Majru Ke OR Wo Mureed Hain Shaikh Ibrahim Garm Sil Ke OR Wo Hazrat Ziyaudddin Abul Khajib Abdul Kahir Iraqi Ke Jin Ka Wisal 72 Saal Ki Umar Me Hua OR Aap Ka Mazare Paak dariya e Dajla Ke Kinare Maujood Hai.
Aap R-A Ko Suhag Is liye Kaha Jata Hai, Ek Din Aap R-A Sultane Auliya Hazrat Nizamuddin Auliya Mehboob Ilahi Ki Ziyarat Ko Aye. Us Waqt Kuch Aurateen Apni Mannat Poori Karne Ke Liye Mazar Par Dhol Baja Kar Gaa Rahi Thi. OR Hazrat Musa Suhag R-A Wali E Kamil Buzurg The. Un Auraton Ka Ye Amal Dekh Kar Aap Ko Pasnad Na Aaya OR Aap Ke Dil Me Ye Khayal Paida Hua Ke Hazrat Mehboob Ilahi Ko Ye Amal Pasand Hai. Agar Aap Ko Ye Amal Pasand Na Hota To Aisi Nagawara Harkateen Aap Ke Mazare Paak Par Na Kartin.
Kuch Arse Baad Aap R-A Hajj Ke Liye Rawana Hue. Hajj Se Farig Ho Kar Madina Munawara Rawana Ho Rahe The Ke Aap Ke Khwab Me Aap Ko Kisi Buzurg Ne Madina Jane Se Mana Farmaya OR Kaha Ke Agar Kehna Na Manega OR Madine Jaye Ga To Iman Salb Ho Jaye Ga.
Aap R-A Ye Sun Kar Tharra Uthe OR Qafle Ke Hamrah Ek OR Buzurg Bhi The, Aap Ne Khwab Ka Waqia Unse Bayan Kiya. Fir Un Buzurg Ne Murakba Kiya OR Murakbe Me Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se Dariyaft Kiya To Jawab Ye Mila Usne Hamara To Koi Kusur Nahi Kiya Hai. Magar Hindustan Me Hamare Farzand Sayyed Nizamuddin Auliya Hain Jinka Mazar Dehli Me Hai, Un Ki Rooh Inse Naraz Hai. OR Jo Hamari Aulad Ya Hamare Auliya Ka Kusurwar Ho Wo Hamari Mazar Par Na Aye,
Inse Kaho Ke Wahan Ja Kar Unse Apna Kusur Maaf Karaye. Fir Wo Buzurg Ne Hazrat Musa Suhag R-A Se Ye Farman Bayan kiya, Aap R-A Hairan Hue OR Sonchne Lage ke Sultanul Mashaikh Ka Me Ne Aisa Konsa Kusur Kiya Hai. Jo Is Qadr Kusurwar Ban Gaya Hoon. Sonchte Sonchte Wo Waqia Aap Ko Yaad Aya OR Musa Suhag Ne Wo Sara Aurton Wala Mamla In Qafle Wale Buzurg Ko Sunaya, To Wo Buzurg Ne Aap Ko Ye Raay Di Ke Tum Hindustan Wapas Jao OR Jis Amal Par Tum Ko Aitraz Hua Hai Wahi Amal Nizamuddin Auliya Ki Mazar Par Karo OR Maafi Mango. Hidayat Milne Ke Baad Aap R-A Hindustan Aa Kar Dehli Aaye, Dadhi Mucheen Saaf Kara Kar Aurton Wala Libas Pehan Liya OR Dhool Gale Me Daal Kar Ke Bajate Gate Hue Sulnatnul Mashaikh Ki Mazare Aqdas Ka Tawaf Karne Lage.
Tawaf Kar Rahe The Ke Behosh Ho Kar Gir Pade, Us Behoshi Me Wo Sab Kuch Aata Hogaya Jo Aata Hona Tha, Mehboobe Ilahi Ke Faizo Karam Se Qalb Ke Parde Khul Gaye OR Ana Fana Me Khasane Khuda Ho Gaye. Jab Aap Hosh Me Aye To Logo Ne Aap Ko Libas Tark Karne Ke Liye Bohat Israr Kiya To Aap Ne Farmaya Ke Mujhe Jo Kuch Mila Hai Is Libas Se Mila Hai. Is Libas Ko Hargiz Tark Na Karunga Us Din Se Aap Sada Suhag Ke Naam Se Mashoor Ho Gaye. Kaha Jata Hai Ke Aap Mukhannas Ke Hamrah Ussi Libas Me Raha Karte The OR Unhi Ke Saath Ahemdabad Gujrat Tashreef Laye.
Ek Martaba Gujrat Me Kehat Pada Barish Bilkul Na Hui, Ahmedabad Ke Log Hazrat Shahe Alam R-A Ki Bargah Me Aap Ke Pass Dua Ke Liye Hazir Hue To Aap Ne Farmaya Fulan Mukam Par Kuch Log Gaa Rahe Hain OR Nach Rahe Hain Un Me Ek Buzurg Shaikh Musa Hain Wo Dhol Bajte Hain OR Hamesha Aurton Ke Libas Me Rehte Hain, Unke Pass Jao.
Log Wahan Se Aap Ki Talash Me Gaye, Aap R-A Un Gane Baja Ne Walon Ke Saath Dhol Baja Rahe The. Fir Log Aap Ke Pass Tashreef Laye OR Barish Ki Dua Ke Liye Aap Ko Bohat Majboor Kiya. Aap R-A Ne Farmaya Me To Banda Gunah Gar Wo Siha Kar Hoon Shiakh Musa Koi OR Honge Un Ko Jaa Kar Talash Karo. Jab Logon Ka Israr Had Se Ziyada Badh Gaya To Apne Majboor Ho Kar Farmaya Nagodi Sog Ne Mujhe Ruswa Kar Diya, Fir Aap Ne Farmaya Khair Dekho Me Arz Karta Hoon,
To Aap Ne Ek Pathar Zamin Se Utha Kar Aasaman Ki Taraf Nazar Kar Ke Farmaya, Aye Khuda Wand Abhi Abhi Pani Barsa Nahi To Me Apna Suhag Fana Kar Ke Rakh Dunga, Aap Haathon Ki Chudiyan Todne Hi Wale The Ke Foran Barish Hona Shuroo Ho Gai. Jab Aap R-A Ki Wilayat Zahir Hui To Log Aap Ke Piche Pad Gaye To Aap R-A Ne Zamin Ko Hukm Diya Ke Khuda Ke Hukm Se Phat Jaa To Zamin Phat Gai OR Aap R-A Zamin Ke Andar Sama Gaye, Aap Ko Zamin Se Bahar Nikalne Ke Liye Us Waqt Ke Sultan Ne Zamin Khudwai Taki Aap Ko Bahar Nikala Jaa Sake, To Aap R-A Ne Dusri Jagah Se Apna Sare Mubarak Bahar Nikala OR Gayab Ho Gaye, Jab Log Is Jagah Ko Khodne Lage To Aap R-A Ne Teesri Jagah Se Sare Mubarak Bahar Nikala OR Gayab Ho Gaye, Jab Teesri Jagah Ko Khodne Lage To Aap R-A Ne Chonthi Jagah Se Sare Mubarak Nikala OR Gayab Ho Gaye. Sultan Ye Haal Dekh Kar Bohat Hairan Hua OR Khamosh Ho Gaya.
Fir Shere Qazi Wagaira Ne Kaha Ke Ab Khodne Ki Zaroorat Nahi Mazar Bana Kar Phool Pesh Kar Do. Issi Wajah Se Aaj Aap R-A Ki 4 Mazar Maujood Hain. In Mazarat Se Thode Se Fasle Par Ek OR Mazar Hai. OR Issi Ke Talluk Se Mashoor Hai Ke Jab Aap Ki Mazar Par Phool Pesh Kar Diya Gaya To Apne Issi Jagah Se Apna Sare Mubarak Bahar Nikala OR Farmaya Ke Mujhe Kuch Nahi Chahiye, Isliye Ek Mazar Yahan Bahar Bhi Mahujood Hai. OR Ye Waqia 10 Rajjabul Murajjab 853 Hijri 1244 Esvi Ka Hai.
Aap Ka Mazare Paak Shahi Baagh Qazi Pur Qadristan Ahmedabad Me Maujood Hai. ( Reference : Auliya E Ahmedabad )
To Mashallah Nazreen Ye Thi Hazrat Kalimuddin Musa Suhag R-A Ki Sawane Hayat Ke Mutalik Maloomat.
Allah Taala Ki Bargah Me Dua Hai Ke Maula Jo Log Is Post Ko Padh Rahe Hain Allah Taala In Sab Ki Nek Jaiz Muradon Ko Poori Farmain ........Ameen Summa Ameen
Nazreen Comment Me Ek Baar Ameen Zaroor Likh Den OR Is Post Ko Share Zaroor Karen Kya Pata Kis Ka Ameen Kehna Allah ki Bargah Me Qabool Ho jaye OR Sab Ki Muradeen Poori Ho Jaye.
Nazreen Agar Aap Hazrat Kalimuddin Musa Suhag R-A Ki Sawane Hayat Ki Complete video Dekhna Chahate Ho To Niche Link Par Click Karen.
Post By : Mudassir Noori