Breaking Tracker

Hazrat Qutb-E-Alam R-A Dargah History Part 1

Hazrat Sayyed Burhanuddin Qutb-E-Alam R-A 

Hazrat Qutb E Alam R-A 


             Aap Ka Naam Qutbul Aktab Hazrat Sayyed Abdullah Burhanuddin Qutbe Alam Bukhari Suharwardi R-A Hai. Aap Ki Kunniyat Abu Mohammad OR Khitab Abdullah OR Lakab Qutbe Alam Hai. 

Aap Hazrat Sayyed Jalaluddin Makhdoom Jahaniyan Jahan Gasht Ke Pote Hain OR Aap Ke Walid Ka Naam Sayyed Nasiruddin Mehmood Nosha Bin Makhdoom Jahaniya Jahan Gasht Hai. Aap R-A Ka SilSila Hazrat Jafar Mussanna OR Hazrat Sayyed Imam Askari R-A Se Milta Hua Hazrat Sayyedna Imam Hussain Se Milta Hai.


            Aap Ki Wiladat 14 Rajabul Murajjab ( 790 Hijri ) Ba Mutabik ( 1388 Eisvi ) Fajr Ke Waqt Multan Me Hui. Jab Aap 10 Saal Ke Hue To Aap Ke Walid Ka Intekal Ho Gaya.  Aap Ke Walide Majid Ka Mazare Paak Unch Miltan Me Maujood Hai . Fir Aap Ne Talim Wo Tarbiyat Apne Hakiki Dada Hazrat Sayyed Sadrudddin Raju Katal R-A  Se Hasil Ki, Ilmo Fazl Me Buzurgi Wo Azmat Aap Ke Khandan Me Nasbi SilSile Se Chali Aa Rahi Hai. Aap 2 Saal Kamil Apne Dada Hazrat Makhdoom Jahaniyan Jahan Gasht Ki Khidmat Me Batini Uloom Se Farig Hue, OR Apne Hakiki Dada Hazrat Sayyed Sadruddin Raju Katal R-A Ki Ijazat Se Gujratiyon Ki Hidayat Wo Rehnumai Karne lage.


Fir Uske Baad Aap Apni Walidah Majidah Bibi Hajrah Urf Sakhawat Khatoon Ke Hamrah Uoch Se Rawana Ho Kar Pattan Tashreeef Laye. Ek Muddat Tak Aap Pattan Me Logon Ko Talim Wo Tarbiyat Karte Rahe, Fir Jab Ahmed Badshah Ne Ahmedabad Aabad Kiya To Aap Pattan Se Ahmedabad Chale Aaye, OR Ahmedabad Ke Batwah Ilake Me Hi Qayam Farmaya.

           Aap Ne Darso Tadris  Rushdo Hidayat Ka Bazari Is Qadr Garm Kiya Ke Insan Dar Insan Aap Ki Bargah Me Aane Lage. Aap Ki Tawaju Se Beshumar Kamilene Waqt Hue, Jo Kuch Aap Ki Zuban Se Nikal Jata Wo Poora Ho Jata Tha. Aap Ne Hazrat Maulana Sher Ali R-A Se Istefada Hasil Kiya. Aap Be Had Muttaki Wo Parhezgar Buzurg The. Aap Aabadi Se Ziyada Virane Ko Pasand Farmate The. Bilkul Sada Tarike Par Zindagi Guzari,.


Pattan Se Aane Ke Baad Sab Se Pehle To Aap Ne Dariye Sabar Mati Ke Kinare Aswal Me Ek Masjid Tamir Karwai, Masjid OR Makano Ke Asar Aaj Tak Maujood Hain,  Aap Apne Buzurgon Ke Mureed Hain Khilafat Apne Dada Raju Katal Se Pai. Hazrat Shaikh Ahmed Khattu Magribi R-A Aap Se Behad Mohabbat Karte The. Hazrat Ne Bhi Aap Ko Khirqae Khilafat Silsile Magribiya Ka Aata Farmaya. 

           Allah Taala Ne Hazrat Qutbe Alam R-A Ko Wilayat Me Bohat Hi Buland Makam Wo Martaba Aata Farmaya Hai, Aap R-A Qutbul Aktab Yani Qutubon Ke Bhi Qutbu Hain. Aap Ki Qutbiyat Ke Talluk Se Hazrat Shahe R-A Farmate Hai Ke 5 Buzurgon Ko Allah Taala Ne Aisa Buland Martaba Aata Kiya Hai Ke Zahiri Zindagi Me Bhi Wo Qutub Hain OR Wisal Ke Baad Bhi Unki Qutbiyat Ko Barkarar Rakha Gaya Hai, Chahe Zahiri Hayat Me Ho Ya Baade Wafat, Wo 5 Buzurg Ke Naam Ye Hain.

Pehle Qutbul Kaunain Gause Azam Hazrat Abdul Qadri Jilani R-A Fir Dusre Sultanul Aarifin Hazrat Sayyed Bayazid Bustami R-A Fir Tisre Hazrat Saayedna Khwaja Maroof Karki R-A Chaothe Hazrat Sayyedna Makhdoom Jahaniya Jahan Gasht R-A, Panchwe Mere Walide Mohtaram Qutbul Aktab Hazrat Burhanuddin Qutbe Alam R-A.


            Aap R-A Behad Karamaten Zahir Hui Hain. Ek Martaba Hazrat Sayyed Burhanuddin Qutbe Alam R-A Tahajjud Ki Namaz Padhne Ke Liye Wazu Karne Gharne Ke Liye Ghar Se Bahar Nikle To Andheri Raat Thi, Ek Patthar Pada Hua Tha Aap Ko Tokar Lagi Apne To Farmaya Patthar Hai, Loha Hai, Lakdi Hai, Ya Kuch OR ? Aap R-Apni Mubarak Zuban Se Jo Jo Farmaya Ho Foran Ho Gaya. Jab Fajr Ko Dekha To Us Patthar Me Wo Charon Cheezain Maujood Thi. Fir Aap Ne Apne Mureedon Se Farmaya Ke Isse Ek Goshe Me Dafan Kar Do. Jo Bhi Shakhs Is Patthar Ko Nikale Ga Usko Aulad Na Hogi. Aap Ki Wafat Ke Baad Aap R-A Ke Ek Mureed Ne Us Patthar Ko Nikal Kar Manzare Aam Kar Diya OR Apni Nasl Ka Khatma Qabool Kar Liya. Ye Patthar Ka Tukda Aaj Bhi Hazrat Qutbe Alam R-A Dargah Ahmedabad Batva Me Maujood Hai, Lo Aaj Bhi Iske Ki Ziyarat Se Musharraf Hote Hain. Jab Akbar Badsha Dehli Se Gujrat Aaya To Usme Se Kuch Hissa Kaat Kar Apne Saath Dehli Le Gaya. 

Zinda Karamat ( Karamati Patthar )

Hazrat Qutbe Alam R-A Ahmedabad Hi Nahi Balke Poore Gujrat Me Mashoor WO Maroof Buzurg Hai, Aap Ka Mazar Ahmedabad Ke Batva Ilake Me Maujood Hai. Beshumar Log Aap Ke Fazi Se Faizyab Hote Rehte Hain. OR Allah Taala Ne Aap Ki Aulad OR Aap Ke Silsile Se Beshumar Kamilen Banai Hain Aaj Tak Ye Silsila Jari Hai.


To Nazreen Ye Thi Hazrat Qutbe Alam R-A Ki Sawane Hayat Se Mutalik Maloomat Jo Apne Padha. Iske Next Post Me Hazrat Qutbe Alam R-A Ki Mazid Karamato  Ka Zikr Hai Usse Bhi Zaroor Bi Zaroo padhen

Allah Taala Ki Bargah Me Dua Hai Ke Maula Jo Log Is Post Ko Padh Rahe Hain Allah Taala In Sab Ki Nek Jaiz Muradon Ko Poori Farmain ........Ameen Summa Ameen 

Nazreen Comment Me Ek Baar Ameen Zaroor Likh Den OR Is Post Ko Share Zaroor Karen Kya Pata Kis Ka Ameen Kehna Allah ki Bargah Me Qabool Ho jaye OR Sab Ki Muradeen Poori Ho Jaye.

Nazreen Agar Aap Hazrat Sayyed Burhanuddin Qutbe Alam R-A Ki Sawane Hayat Ki Complete video Dekhna Chahate Ho To Niche Link Par Click Karen.



@mudassirnoori 

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.