Karamati Patthar |
Nazreen Abhi Is Waqt Aap Jis Patthar Mubarak Ki Ziyarat Kar Rahe Hain Ye Zinda Karamat Hai Hazrat Sayyed Abdullah Burhanuddin Qutbe Alam R-A Ki. Kaha Jata Hai Ke Is Pattjar Me Wo Sari Cheezen Maujood Hain Jo Aap R-A Ne Farmaya Tha, Is Patthar Me Ek Taraf Lakdi Ek Taraf Loha, Ek Kankar OR Ek Taraf Wo Konsi Cheez Hai Jis Ke Bare Me Aaj Tak Science Ko Bhi Kuch Pata Na Chala.
Hazrat Burhanuddin Qutbe Alam R-A |
Is Patthar Ki Karamat Ka Waqia Kuch Yun Hai, Jo Ahmedabad Ki Tarikhi Kitabon Me Maujood Hai, Bayan Kiya Jata Hai Ke Ek Martaba Hazrat Sayyed Burhanuddin Qutbe Alam R-A Tahajjud Ki Namaz Ke Liye Ghar Se Bahar Wazu Karne Ke Liye Nikle Andheri Raat Thi To Raat Ke Andhere Me Aap Ko Kisi Cheez Ki Thokar Lagi To Aap R-A Ne Farmaya Patthar Hai, Loha Hai, Lakdi Hai, Ya Kuch OR Allah Jane Kiya Hai. Aap R-A Ne Jo Jo Apni Mubarak Zuban Se Farmaya To Allah Taala Ke Karam Se Wo Sab Us Patthar Me Ho Gaya.
To Jab Subha fajr Ki Namaz Ke Baad Aap R-A Ne Dekha To Wo Sari Cheezen Is Patthar Me Maujood Thi Jo Aap Ne Farmai Thi, Is Patthar Ke Ek Hisse Me Loha OR Ek Hisse Me Lakdi OR Ek Hisse Me Loha OR Ek Hisse Me Allah Jane Kya Hai, Fir Aap R-A Apne Mureedon Se Farmaya Ke Is Patthar Ko Ek Kone Me Dafan Kar Do, Jo Bhi Shakhs Is Ko Nikale Ga Uski Nasl Na Chalegi.
Fri Jab Hazrat Qube Alam R-A Ka Wisal Hua To Aap Ke Ek Mureed Ne Is Patthar Ko Zamin Se Nikal Kar Manzare Aam Kar Diya OR Apni Aulad Ka Khatma Qabool Kar Liya. OR Ye Karamati Patthar US Waqt Se Le Kar Aaj Tak Aap R-A Ki Bargah Me Maujood Hai.
Kaha Jata Hai Ke Is Patthar Ka Wo Hissa Jiske Bare Me Aaj Tak Pata Na Chala Ke Ye Cheez Kya Hai OR Konsi Cheez Hai To Jab Akbar Badsha Yahan Dargah Me Ziyarat Ke Liye Aaya To Usne Is Patthar Ke Is Hisse Ko Kat Kar Apne Saath Dehli Le Gaya, Take Wo Pata Kar Sake Ke Ye Cheez Kya Hai, Lekin Use Bhi Pata Na Chala. Issi Tarha Is Hisse Ka Kuch Tukda Science Laboratory Me Bhi Le Jaya Gaya Lekin Unhe Bhi Kuch Na Mila.
OR Ye Bhi Kaha Jata Hai Ke Is Hisse Me Ek Aisi Cheez Hai Jo Is Duniya Ki Hai Hi Nahi.
OR Is Patthar Mubarak Ke Talluk Se Ye Bhi Kaha Jata Hai Ke Agar Aap Ki Koi Mannat Poori Hone Wali Ho To Is Patthar Ko Dil Me Niyyat Kar Ke Uthaya Jaye To Ye Patthar Ba Asani Se Uth Jata Hai, Or Agar Koi Mannat Poori Na Hone Wali Ho To Ye Patthar Nahi Uthta Hai.
Ye Hoti Hai Allah Ke Waliyon Ki Shan OR Ye Unki Zinda Karamaten, Kiya Shan Hai Khidmat Garon Ki To Sarkar Ka Alam Kiya Ho.
OR Ye Pattahr Mubarak Hazrat Qutbe Alam R-A Ki Dargah Me Aaj Tak Maujood Hai OR Is Patthar Ki Ziyarat Bhi Karwai Jati Hai. OR Ye Dargah Shareef Gujrat Ke Shehar Ahmedabad Ke Vatva Ilake Me Maujood Hai.
Ye Hissa Lakdi Ka Hai |
Ye Hissa Lohe Ka Hai |
Ye Hissa Kankar Ka Hai |
Ye Hissa Patthar Ka Hai |
Ye Upar Ka Hissa Na Jane Kya Hai |
Posted By : Mudassir Noori