Breaking Tracker

Shahe Alam Ka Mubarak Takht | Sarkar Shahe Alam Ki Dargah


Mubarak Takht

Shah E Alam Dargah

Ye Jo Mubarak Takht Hain Ye Wahi Mubarak Takht Hain Jin Me Se Ek Takht Par Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Tashreef Farma Hue The Aur Ek Takht Wo Hai Jis Par Hazrat Sayyedna Sarkar Shahe Alam R-A Tahshreef Farma The.

In Dono Mubarak Takht Ke Piche Bada Hi Dilchasp Waqia Hai, Hazrat Sarkar Shahe Alam R-A Ki Sirat Ki Kitab Me Likha Hua Hai, Ke Ek Martaba Hazrat Sarkar Shahe Alam R-A Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Didar Se Musharraf Hue. 

To Sarkar Shahe Alam R-A Ne Nabi e Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Bargah Me Iltija Ki Ke Huzoor Meri Bohat Dino Se Ye Tamanna Hai Ke Nabi e Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Apne Qadmo Se Meri Khanka Ko Zinat Bhakshen. OR Madrase Me Talim Hasil Karne Wale Bachchon Ko Apne Khas Faizan Se Mustafis Farmain,

Fir Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Inshallah Ham Zaroor Tumhari Is Tamanna Ko Poori Karenge, Ye Waqia Hona Tha ho Gaya.


Shah E Alam

Ek Din Hazrat Sayyedna Sarkar Shahe Alam R-A Bimar Ho Gaye OR Tabiyat Na Shaaz Hone Ki Wajah Se Madrase Tashreef Na Le Gaye Ek Ashre Ke Baad Aap R-A Jab Sehatyab Hue To Madrase Me Tashreef Le Gaye OR Bukhari Sharif Khol Kar Dars Dene Lage, Hazrat Shahe Alam R-A Ne Us Sabak Se Padhana Shuru Kiya Jahan Se Aap Ne Bimar Hone Se Pehle Choda Tha, Talba Ye Dekh Kar Hairat Me Pad Gaye.

To Aap R-A Ne Hairangi Ki Wajah Puchi To Unhone Bataya Ke Huzoor Kal To Aap Ne Falan Sabak Tak Padhaya Tha, Sarkar Shahe Alam R-A Sonchne Lage Ke Aaj In Talba Ko Kya Ho Gaya Hai, Fir Farmaya Ke Me Ne Akhir Me Tum Ko Yehi Sabak Padhaya Tha. Uske Baad Me Bimar Ho Gaya Aur Ek Ashre Tak Madrase Me Nahi Aaya, Is Baat Se Madrase Ke Talba Hairat Me The, Ke Hamne To Rozana Dars Liya Hai.

Unki Ye Halat Dekh Kar Hazrat Sayyedna Sarkar Shahe Alam R-A Ne Sar Jhuka Liya Aur Murakeba Karne Lage, Aap Ke Noorani Cheree Ki Kaifiyat Ko Madrase Ke Talba Dekh Rahe, Fir Aap Ne Murakebe Se Sar Uthaya Aur Jaldi Se Tahkht Ke Niche Utar Aaye Aur Takht Ko Bosa Diya, Aap Ki Ankhon Se Ansu Jari Ho Gaye Badi Deer Tak Aadab Ke Saath Haath Bandhe Takht Ke Samne Khade Rahe.


Shah E Alam Dargah

Jab Kuch Sukoon  Hua To Aap Ne Farmaya Ke Fidaka Abi Wo Ummi Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap Ne Apna Wada Pura Farmaya. Madrase Ke Talba Ye Sab Dekh Rahe The Aur Sun Rahe The, Lekin Hakikat Ko Abhi Tak Samajh Na Paye The.

Talba Aap R-A Ke Qadmo Me Gir Pade Aur Arz Karne Lage Ke Ya Sayyedi Akhir Kya Baat Hai, Aap Ki Ankhen Ashkbar Kyun Hai, Aur Jab Aap Alil The To Hame Dars Dene Wali Zaat Kon Thi.

Fir Hazrat Sarkar Shahe Alam R-A Ne Talba Ko Jawab Dete Hue Namnak Ankhon Ke Saath Farmaya Ke Aye Bachchon  Badi Mubarak Aur Khus Nasib Hai Tumhari Ankhen.


Jinhone Mere Jadde Karim Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Didar Kiya Hai, Aye Talba Tum Apni Kismat Par Naaz Karo, Ke Tumhe Sarware Kaonain Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Padhaya Hai. Is Waqia Ke Baad Us Mubarak Takht Ko Jis Par Nabi E Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Tashreef Farma Ho Kar Talba Ko Dars Diya Us Takht Ko Aadab Ke Saath Ek Taraf Kone Me Rakh Diya Gaya.


Aur Sarkar Shahe Alam R-A Ke Baithne Ke Liye Dusra Takht Laya Gaya, Fir Sarkar Shahe Alam R-A Ke Wisal Ke Baad Un Dono Takhton Ko Masjid Ke Ek Kone Me Latka Diya Gaya.


Mubarak Takht

Sufiya E Kiram Aur Buzurgane Deen Ka Farman Hai Ke Jis Takht Par Nabi E Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Tashreef Farma Hue The, To Us Takht Ke Niche Koi Shakhs 2 Rakaat Nafil Namaz Khulus Niyyat Se Ada Kare Aur Allah Ki Bargah Me Dua Kare To Uski Dua Zaroor Qabool Hoti Hai.





Is Takht Ke Talluk Se Complete History Video Dekhne Ke Liye Niche Link Par Click Karen 







Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.