Shab e Meraj Ki Nafil Namaz Ka Practical Tarika
Shab E Meraj Me 12 Rakaat Nafil Namaz 2,2 Rakaat Kar Ke 12 Rakaat Ada Karen.
Har 2 Rakaat Ki Niyyat Is Tarah Karen.
Nafil Namaz Ki Niyyat
Niyyat Ki Me Ne 2 Rakaat Nafil Namaz Waste Allah Taala Ke Liye Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar
Fir Uske Baad Sana Padhen,
Fir Tauz OR Tasmiya Padhen,
Fir Surah Fatiha Padhen,
Is Ke Baad 3 Martaba Surah Qadr Padhen,
Fir Iske 12 Martaba Surah Ikhlas Padhen,
Is Tarha Pehli Rakaat Mukammal Karen Aur Dusri Rakaat Bhi Same Issi Tarha Padhen Aur Fir Salam Ke Baad 2 Rakkat Mumkammal Karen.
( Notice : Har 2 Rakaat Ko Issi Tarha Padhna Hai )
Jab 12 Rakaat Nafil Namaz Mukammal Ho Jaye To Is Ke Baad
- Ek Martaba Ye Darood Sharif Padhen,
- Fir Iske Baad 3 Martaba Ye Dua Padhen,
- Fir Iske Baad 3 Martaba Ye Dua Padhen,
- Fir Iske Baad 100 Martaba Darood Shrif Padhen,
- Fir Uske Baad 100 Martaba Ye Dua Padhen,
- Fir Akhir Me 100 Martaba Ye Tasbih Padhen,
Iske Baad Dono Haath Utha Kar Allah Taala Ki Bargah Me Dua Karen.
Is Namaz Ke Talluk Se Hazrate Abu Huraira R-A Farmate Hain Ke Jo Shakh 27 Rajjab Ko Ye 12 Rakaat Nafil Namaz Padhen Aur Fir Apne Liye Apne Walidain Ke Liye Aur Tamam Musalmano Ke Liye Dua Karen To Allah Taala Usko 5 Neyamat Aata Farmaye Ga.
- Umr Bhar Kabhi Wo Kisi Ka Mohtaj Nahi Hoga,
- Iman Par Uska Khatma Hoga,
- Insha Allah Uski Qabr Kushadah Hogi,
- Qabr Me Use Jannat Ki Hawa Milegi,
- Qayamat Ke Din Allah Ka Didar Use Nasib Hoga,