Namaz Padhne Ka Sahi Tarika
- Sab Se Pehle Acche Se Wazu Karen, Kyun Ki Bagair Wazu Ke Namaz Hi Nahi Hogi.
- Fir Uske Baad Jis Jagah Namaz Padh Rahe Ho Us Jagah Ko Saaf Kar Len, Agar Janimaz Ho To Uske Upar Khade Ho Jain.
Namaz Padhne Ke Liye Zaroori Hai Ke Chera Qible Ki Taraf Ho ( Yani Kabe Ki Taraf Muh Hona Chahiye )
Qible Ki Taraf Muh Kar Ke Khade Ho Jain Aur Dono Pairon Ke Bich Me 4 Ungli Ka Fasla ( Distance ) Rakhen .
Note :- Yaad Rahe Ke Pairon Ki Sab Ungliyan Qible Ki Taraf Ho.
Uske Baad Niyyat Karni Hai, Niyyat Dil Ke Irade Ko Kehte Hain, Dil Me Namaz Ki Niyyat Ho To Namaz Ho Jaye Gi Lekin Muh Se Keh Lena Behtar Hai, Aur Jis Waqt Ki Namaz Padh Rahe Hon Us Waqt Ki Namaz Ki Niyyat Karen.
For Example ( Maslan )
Fajr Ki Namaz Ki Niyyat :- Niyyat Ki Me Ne 2 Rakaat Farz Namaz Fajr Ki Waste Allah Taala Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar,
Agar 2 Rakaat Padh Rahe Ho To 2 Rakaat Ki Niyyat Karen Aur Agar 4 Rakaat Padh Rahe Hon To 4 Rakaat Ki Niyyat Karen.
Note :- Aur Agar Imam Ke Piche Namaz Padh Rahe Hon To Niyyat Is Tarha Karen ( Niyyat Ki Me Ne 2 Rakaat Farz Namaz Fajr Ki Waste Allah Talaa Ke Piche Is Imam Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar )
Iske Baad Takbeer Kahen Yani Dono Haath Kano Tak Uthain Is Tarha Ke Dono Haath Ki Hatheli Qible Ki Taraf Ho Aur Allahu Akbar Kehte Hue Dono Haath Pet Par Naaf Ke Niche Bandh Len.
Note :- Haath Is Tarha Rakhen Ke Ulta Haath ( left hand ) Niche Aur Sidha Haath ( Right Hand ) Upar Ho Aur Ungliyon Ka Halka Bana len.
Fir Iske Baad Kayam Ki Halat Me sab Se Pehle Sana Padhen :-
Fir Iske Baad Tauz Aur Tasmiya Padhen.
Fir Surah Fatiha Padhen.
Fir Iske Baad Koi Ek Surah Padhen Jo Yaad Ho Maslan ( For Example ) Surah Falak :-
Ab Iske Baad Allahu Akbar Kehte Hue Ruku Me Jain.
Note :- Ruku Is Tarha Karen Ke Dono Haath Dono Ghutne Par Ho Aur Pith Bilkul Sidhi Ho. Is Ke Baad 3 Baar Ruku Ki Halat Me Hi Ruku Ki Ye Tasbeeh Padhen :-
Ruku Ki Tasbeeh :-
Ab Iske Baad ( “Sami Allahu liman Hamidah / Rabbana wa lakal hamd” ) Kehte Hue Khade Ho Jain. Is Halat Me Khade Hone Ko Kehte Hain QAOMA
Iske Baad Allahu Akbar Kehte Hue Sajde Me Jain,
Note :- Sajda Is Tarha Karen Ke Sab Se Pehle Dono Ghutno Ko Zamin Par Rakhen Uske Baad Dono Haath Fir Uske Baad Naak Fir Uske Baad Peshani.
Aur Yaad Rahe Ke Dono Pairon Ki Ungli Qible Taraf Ho.
Iske Baad Sajde Ki Halat Me Hi 3 Baar Sajde Ki Tasbeeh Padhen,
Sajde Ki Tasbeeh :-
Iske Baad Allahu Akbar Kehte Hue Sajde Se Uth Kar Baith Jain, Is Tarha Uthen Ke Pehle Zamin Se Peshani Uthain Fir Naak Fir Dono Haath Aur Dono Haathon Ko Dono Pair Ki Raan Par Rakhen Uske Baad Baithen,
Note :- Is Tarha Baithen Ke Ulta ( Left ) Pair Bicha Den Uske Baad Sidha ( Rigth ) Pair Khada Kar Den ( Isko Kehete Hain Jalsa ) Phir Uske Baad Waise Hi Dusra Sajda Karen Aur 3 Baar Sajde Ki Tasbeeh Padhen .
Dusra Sajda Hone Ke Baad Allahu Akbar Kehte Hue Dusri Rakaat Ke Liye Khade Ho Jain.
Ab Dusri Rakaat Me Kayam Ki Halat Me Sab Se Pehle Bismillah Padhen Fir Surah Fatiha Padhen :-
Iske Baad Koi Surah Padhen Jo Yaad Ho Maslan ( For Example ) Surah Naas :-
Fir Iske Baad Pehli Rakaat Ki Tarha Ruku Karen Aur 2 Sajde Karen,
Note :- Dusra Sajda Karne Ke Baad Ab Baith Jain, Yahan Baithne Ko Tashahud Kehte Hain ( Is Halat Me Namaz Mukammal Ki Jati Hai ) Is Tarha Baithen Ke Ulta ( Left ) Pair Bicha Den Uske Baad Sidha ( Rigth ) Pair Khada Kar Den.
Tashahud Me Baithne Ke Baad Sab Se Pehle Attahiyat Padhen :-
Note :- Yaad Rahe Ke Attahiyat Padhte Waq ( Ashadu An La Ilaha Illallah ) Me Laa Par Shahadat Ki Ungli Uthain Aur Illallah Par Chod Den.
Fir Iske Baad Daroode Ibrahim Padhen :-
Fir Iske Baad Duae Masoora Padhen :-
Ye Sari Cheezen Padhne Ke Baad Namaz Ko Mukammal Karne Ke Liye Salam Feren Is Tarha Ke Pehle,
Sidhe Kandhe ( Yani Right Shoulder ) Ki Taraf Muh Karen Aur Ye Kahen ( Assalamu Alaikum Wa rahmatullah )
Fir Ulte Kandhe ( Yani Left Shoulder ) Ki Taraf Muh Karen Aur Ye Kahen ( Assalamu Alaikum Wa rahmatullah )
Iske Baad Ba Awaze Buland Ye Kahen ( Haq La Ilaha Illallah Muhammad Rasoollallah Sallahu Talaa Alaihi Wasallam )
Ab Namaz Mukammal Hui.....
Note :- Ye 2 Rakaat Namaz Ka Tarika Tha Agar 4 Rakaat Namaz Padhna Ho To Dusri Rakaat Me 2 Sajde Karne Ke Baad Tashahud Me Baithen Uske Baad Sirf Attahiyat Padhen Aur Foran Tesri Rakaat Ke Liye Khade Ho Jain, Iske Baad Teesri Aur Chaonthi Rakaat Same Pehli Aur Dsuri Rakaat Ki Tarha Padhen.
Nazreen Agar Post Pasand Aye To Share Zaroor Karen.....
Allah Talaa Ham Sab Ko Kehne Sunne Aur Padh Kar Is Par Amal Karne Ki Taufik Aata Farmaye.
5 Waqt Ki Namaz Ka Tarika :-
Link :- Fajr Ki Namaz Ka Tarika
Link :- Zohar Ki Namaz Ka Tarika
Link :- Asar Ki Namaz Ka Tarika
Link :- Magrib Ki Namaz Ka Tarika
Link :- Isha Ki Namaz Ka Tarika