Qabr Par Fatiha Ka Tarika Aur Qabristan Ke Aadab Mudassir Noori
Hadees :- Hazrate abdullah Bin Masood R-A Se Marvi Hai Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Me Ne Tumhe Qabron Ki Ziyarat Se Mana Kiya Tha, Ab Tum Ziyarat Kar Sakte Ho Is Liye Ke Wo Dil Se Duniya Ki Mohabbat Nikalti Hai Aur Akhirat Ki Yaad Dilati Hai. ( Sunan ibne Maajah )
- Ambiya Sahaba Auliya Aur Apne Ghar Ke Marhoomin Maslan " Maa Baap Wagairah Ki Qabron Ki Ziyarat Ke Liye Jana Mustahab Wo Masnoon Hai,
- Qabristan Jate Waqt Fuzul Baaten Fuzul Kaam Na Karen Balki Akhirat Aur Maut Ko Yaad Karte Hue Qabristan Jain,
- Qabristan Me Jain To Sab Se Pehle Qabr Walon Ko Salam Karen Is Tarha :-
- Qabristan Pohanchne Ke Jute Chappal Utar Den Aur Qabr Ke Samne Qible Ki Taraf Pith Kar Sahibe Qabr Ke Chere Kki Taraf Rukh Kar Ke Khade Ho Jain.
- Fir Iske Baad Tamam Marhoomin Ke Liye Isalai Sawab Karen.
Fatiha Ka Tarika Sikhne Ke Liye Yahan Niche Click Karen :-