Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ka Tarika
- Salatul Tasbeeh Ki Fazilat :-
Salatul Tasbeeh Me Bohat Sawab Hai. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apne Chacha Hazrate Abbas ( R-A ) Ko Is Namaz Ki Talim Farmai OR Farmaya Agar Tum Se Ho Sake To Is Namaz Ko Rozana Ek Martaba Padho Ya Fir Har Jumah Ko Ek Baar Ya Fir Har Mahine Me Ek Baar Ya Fir Saal Me Ek Baar Aur Agar Ye Bhi Na Ho Sake To Zindagi Me Ek Baar To Zaroor Padhen.
- Salatul Tasbeeh Ki Niyyat :-
Niyyat Ki Me Ne 4 Rakaat Nafil Namaz Salatul Tasbeeh Ki Waste Allah Taala Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar
Allahu Akbar Kehte Hue Haath Naaf Ke Niche Bandh Len
- Fir Pehli Rakaat Me Sab Se Pehle Sana Padhen :-
- Fir Iske Baad 15 Baar Ye Tasbeeh Padhen :-
- Fir Iske Baad 1 Baar ( Tauz OR Tasmiya Padhen ) :-
- Fir 1 Baar Surah Fatiha Padhen :-
- Fir Iske Baad 1 Baar Ye Surah Padhen ( Surah Takasoor )
- Fir Iske Baad 10 Baar Ye Tasbeeh Padhen
- Fir Iske Baad Ruku Karen OR 3 Baar Ruku Ki Tasbeeh Padhen :-
- Fir Iske Baad Ruku Me Hi 10 Baar Ye Tasbeeh Padhen :-
- Fir Iske Baad Ruku Se Khade Ho Jain OR 1 Baar Ye Kahen :-
- Fir Issi Halat Me Khade Khade 10 Baar Ye Tasbeeh Padhen :-
- Fir Iske Baad Allahu Akbar Kehte Hue Sajde Me Jain OR 3 Baar Sajde Ki Ye Tasbeeh Padhen :-
- Fir Iske Baad Sajde Me Hi 10 Baar Ye Tasbeeh Padhen :-
- Fir Allahu Akbar Kehte Hue Sajde Se Sar Uthain OR Baithen Fir Issi Halat Me 10 Baar Ye Tasbeeh Padhen :-
- Fir Iske Baad Dusra Sajda Karen OR Sajde Ki Tasbeeh Padhen :-
- Fir Iske Baad Sajde Me Hi 10 Baar Ye Tasbeeh Padhen :-
- Note :- Is Tarha Ye Pehli Ek Rakaat Complete Hui ( Yani Ek Rakaat Me Us Tasbeeh Ko 75 Baar Padhna Hai, Sirf Shuru Me Hi 15 Baar Padhen Baki Iske Baad 10,10 Baar Padhen )
- Fir Jab Dusri Rakaat Ke Liye Khade Hon To Sab Se Pehle 15 Baar Ye Tasbeeh Padhen :-
- Fir Iske Baad 1 Baar ( Tasmiya Padhen ) :-
- Fir Iske Baad 1 Baar Ye Surah Padhen ( Surah Asr )
- Fir Iske Baad Pehli Rakaat Me Jis Tarha Bataya Gaya Same Aise Hi Dusri Rakaat Me Bhi Padhe OR Dusri Rakaat Compelet Karen :-
- Fir Iske Baad Jis Tarha Dusri Rakaat Me Tarika Bataya Gaya Same Teesri Rakaat Me Padhen ( Sirf Yahan Surah Fatiha Ke Baad Surah Kafiroon Padhen )
- Fir Iske Baad Teesri Rakaat Me Jis Tarha Tarika Bataya Gaya Us Tarha Chaothi Rakaat Complete Karen ( Srif Yahan Surah Fatiha Ke Baad Ikhlas Padhen )
Bas Yaad Rahe Ke Pehle OR Dsure Qaide Me Us Tasbeeh Ko Na Padhen :-
Note :- Yaad Rahe Ke Ye Tasbeeh Har Rakaat Me 1,2,3,4, Me 75 Baar Padhna Hai Yani Puri 4 Rakkat Me Total 300 Baar Padhna Hai.
Nazreen Agar Aap Is Namaz Ka Video Dekhna Chahate Hoto Niche Link Par Click Karen.
Link :- Salatul Tasbeeh Ki Namaz Ka Tarika