Breaking Tracker

Shabe Barat Ka Roza Kab Rakhen Niyyat Aur Iftar Ki Dua | Shabe Barat Ke Roze Ki Fazilat - Mudassir Noori | शबे बारात 2023 - शबे बारात का रोजा कब है

Shabe Barat Ka Roza Kab Rakhen Niyyat Aur Iftar Ki Dua | Shabe Barat Ke Roze Ki Fazilat - Mudassir Noori | शबे बारात 2023 - शबे बारात का रोजा कब है

Shabe Barat Yani 15 Shaban Magfirat Ki Raat Is Raat Ke Talluk Se Hadees Me Badi Fazilat Hai Aur 15 Shaban Ko Roza Rakhne Ki Bhi Badi Fazilat Hai.

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Shaban Ke Mahine Me Kasrat Ke Saath Roza Rakhte The.

15 Shaban Ki Jo Tarikh Hai Ye Badi Fazilat Wali Tarikh Hai Iske Hawale Se Ibne Maaja Ki Ek Riwayat Maujood Hai, Hazrat Ali R-A Farmate Hain Ke Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ke Jab 15 Shaban Ki Raat Aye To Us Raat Me Qayam Karo Aur Din Roza Rakho Beshak Allah Taala Magrib Ke Baad Asmane Duniya Par Apni Tajalli Farmata Hai Aur Farmata Hai,

  • Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Wala Ke Me Use Bakhash Dun,
  • Hai Koi Rozi Mangne Wala Ke Me Use Rozi Dun,
  • Hai Koi Pareshan Haal Ke Me Use Aafiyat Dun,

Aur Allah Taala Ka Ye Farman Fajr Tak Jari Rehta Hai.

To 15 Shaban Ke Roze Ki Ye Fazilat Maujood Hai Ab Aap Ki Marzi Chahen To Shaban Ke Pure Mahine Me Jitna Chahe Roza Rakh Sakte Ho Aur Agar Aap Ek Din Ka Roza Rakhna Chahate Ho To 15 Shaban Ka Roza Rakh Sakte Ho Agar 2 Din Ka Rakhna Chahate Ho To 2 Din Ka Rakh Sakte Ho, Behtar Ye Hi Hai Ke 2 roze Rakhen 14 Shaban Ka Aur 15 Shaban Ka, Aur Roze Ki Niyyat Ye Karen.

Roze Ki Niyyat :-

Niyyat Dil Ke Irade Ko Kehte Hain Yani Sirf Dil Me Kehna Ke ( Niyyat Ki Me Ne is Mahine 15 Shaban Ke Roze Ki Waste Allah Taala Ke ) Ya Fir Zuban Se Bhi Keh Sakte Ho.

Roze Iftar Karne Ki Dua :-

 Iftar Karne Se Pehle Bismillah Padhen Fir Kcuh Kha Len Uske Baad Ye Dua Padhen,


Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.