Breaking Tracker

Tahajjud Ki Namaz Ka Tarika Rakaat, Niyat Aur Waqt Step By Step | तहज्जुद की नमाज का तारिका रकात, नियत और वक्त स्टेप बाय स्टेप - Mudassir Noori

Tahajjud Ki Namaz Ka Tarika



Timing :- 

Tahajjud Ki Namaz Ka Waqt Isha Ki Namaz Ke Baad So Kar Uthne Ke Baad Se Sehri Ke Waqt Tak Hota Hai.

Masalan : - Agar Kisi Shakhs Ne Isha Ki Namaz Padhi Aur Isha Ki Namaz 9 Baje Khatam Ho Gai Fir Wo Shakhs So Gaya Fir Wo 12 Baje Ya 1 Baje Neend Se Bedar Hua Aur Jab Wo Neend Se Bedar Hua To Us Waqt Se Lekar Sehri Ke Waqt Tak Yani Fajar Ki Namaz Se Pehle Pehle Tak Is Bich Wo Tahajjud Ki Namaz Ada Kar Sakta Hai.


Rakaaten :-

Tahajjud Ki Namaz Kam Se Kam 2 Rakaat Hai Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Se 8 Rakaat Tak Sabit Hai,


Fazilat :-

 Hadees Sharif Me Is Namaz Ki Badi Fazilat Aai Hai. Nisaai Aur Ibne Maaja Ne Apni Sunan  Me Riwayat Ki Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shakhs Raat Me Bedar Ho Aur Apne Ahel Ko Jagaye Aur Dono 2,2 Rakaat Padhen To Kasrat Se Yaad Karne Walon Me Likhen Jainge.


Tahajjud Ki Namaz Ki Niyat :-

Niyat Ki Me Ne 2 Rakaat Nafil Namaz Tahajjud Ki Waste Allah Talaa Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf  Allahu Akbar.


Note :- Agar 4 Rakaat Ki Niyat Karen To Is Tarha Karen,

Niyat Ki Me Ne 4 Rakaat Nafil Namaz Tahajjud Ki Waste Allah Talaa Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar.

Iske Baad Jis Tarha Namaz Ada Ki Jati Hai Waise Hi Namaz Ada Karen, Agar Aap Namaz Ka Mukammal Tarika Sikhna Chahate Hain To Is Link Par Click Karen, 

Link :- Namaz Ka Mukammal Tarika

Note :- Tahajjud Ki Namaz Me Koi Khas Surah Padhan Zaroori Nahi Hai Aap Ko Jo Surah Yaad Ho Surah Fatiha Ke Baad Padhen.

Behtar Hai Ke Surah Fatiha Ke Baad Badi Badi Surah Padhen.


Agar Aap Ko Koi Surah Yaad Na Hoto Ye Surah Padhen :-


2 Rakaat Ki Namaz Me Pehli Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Falak Padhen.



Fir Dusri Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Naas Padhen.  :-





Tahajjud Ki Namaz Ka Video Dekhne Ke Liye Niche Link Par Click Karen :-




Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.