Breaking Tracker

Taraweeh Ki Namaz Ka Asan Tarika Step By Step New | तरावीह की नमाज का आसन तारिका स्टेप बाय स्टेप New

Taraweeh Ki Namaz Ka Tarika



Taraweeh Ki Namaz Mard Aur Aurat Ke Liye Sunnate Muaqqidah Hai, Is Ka Chodna Jaiz Nahi.

Taraweeh Ki Namaz Me 20 Rakaat Hoti Hain, Aur Ye 20 Rakaat 2,2 Rakaat Kar Ke Padhen Aur Har 4 Rakaat Ke Baad Taraweeh Ki Dua Padhen,

Taraweeh Ki Namaz Jamaat Se Padhna Sunnate Kifaya Hai, Yani Agar Masjid Me Taraweeh Ki Jamaat Na Hui To Mohalle Ke Sabhi Log Gunahgar Honge Aur Agar Kuch Logon Ne Masjid Jamaat Se Padhli To Sab Bariuz zimma Honge. ( Ref :- Alamgiri, Bahare Shairiyat )

Taraweeh Ki Namaz Ka Tarika Aur Rakaat :-

Taraweeh Me 20 Rakaat 2,2 Rakaat Kar Ke Aada Karen, Har 2 Rakaat Ki Niyyat Ye Karen, Niyyat Ki Me Ne 2 Rakaat Sunnat Namaz Taraweeh Ki Sunnat Rasoolallah ﷺ Ki Waste Allah Taala Ke Muh Mera Kaba Shirf Ki Taraf Allahu Akbar


Note :- Mard Hazrat Agar Imam Ke Pichen Namaz Padh Rahe Hon To Ye Niyyat Karen ( Niyyat Ki Me Ne 2 Rakaat Sunnat Namaz Taraweeh Ki Sunnat Rasoolallah ﷺ ki Waste Allah Talaa Ke Piche Is Imam Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar )


Note :- Taraweeh Ki Namaz Agar Akele Padh Rahe Ho Chahe Wo Mard Ho Ya Aurat Aur Aap Ko Mukammal Quran Yaad Na Ho To Aap Is Tarha Se Namaz Ada Karen Aur Ye 20 Sureh Har Rakaat Me Padhen. Fir 11vi Rakaat Se Dobara shuroo Karen, Aur Har 4 Rakaat Ke Baad Baithen Aur Taraweeh Ki Dua Padhen.


Tarika :- 

  • Taraweeh Ki Namaz Isha Ki Namaz Ke Baad Aada Ki Jati Hai Pehle Isha Ki 4 Rakaat Sunnat Fir 4 Rakaat Farz Fir 2 Rakaat Sunnat Fir 2 Rakaat Nafil Padhen Uske Baad Taraweeh Ki 20 Rakaat Aada Karen Fir Uske Baad 3 Rakaat Wirt Namaz Padhen Fir 2 Rakaat Nafil Padhen. 
  • Har Rakaat Ki Niyyat :- Niyyat Ki Me Ne 2 Rakaat Sunnat Namaz Taraweeh Ki Sunnat Rasoolallah ﷺ Ki Waste Allah Taala Ke Muh Mera Kaba Shirf Ki Taraf Allahu Akbar.
Note :- Har 2 Rakaat Ki Niyyat Ye Hi Karen Same.

1) 1th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Feel Padhen,

2 ) 2nd Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Quraish Padhen,

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

3) 3rd Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Maun Padhen,
4) 4th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Kausar Padhen,
Taraweeh Ki Dua Padhen :-

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

5) 5th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Kafiroon Padhen,
6 ) 6th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Nasr Padhen,

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

7 ) 7th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Lahab Padhen,
8 ) 8th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Ikhlas Padhen,
Taraweeh Ki Dua Padhen :-

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

9 ) 9th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Falak Padhen,
10 ) 10th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Naas Padhen,

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

11 ) 11th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Feel Padhen,
12 ) 12 Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Quraish Padhen,
Taraweeh Ki Dua Padhen,

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

13 ) 13th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Maun Padhen,
14 ) 14th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Kausar Padhen,

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

15 ) 15th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Kafiroon Padhen,
16 ) 16th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Nasr Padhen,
Taraweeh Ki Dua Padhen,

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

17 ) 17th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Lahab Padhen,
18 ) 18th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Ikhlas Padhen,

  • Fir 2 Rakaat Ki ki Niyat Karen 

19 ) 19th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Falak Padhen,
20 ) 20th Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Naas Padhen,
Tarawee Ki Dua Padhen,


Ab Iske Baad Isha Ki 3 Rakaat Witr Aur 2 Rakaat Nafil Aada Karen.......






    Post a Comment

    0 Comments
    * Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.