Breaking Tracker

Alvida Juma Ki Namaz | Alvida Juma Ke Din Juma Ki Namaz Ke Baad Padhi Jane Wali Namaz

 Alvida Juma Ki Namaz Ki Nafil Namaz Ka Tarika


Alvida Juma Ke Din Juma Ki Namaz Padhne Ke Baad 2 Rakaat Nafil Namaz Ada Karen.

Uska Tarika Ye Hai Ke Pehli Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Zilzal Ek Baar Aur Surah Ikhlas 7 Baar Padhen.

Fir Dusri Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Kafiroon 3 Baar Padhen.


Fazilat :- Is Namaz Ki Fazilat Me Aata Hai Is Namaz Ke Be-Shumar Fazail Hain Iske Padhne Wale Ko Allah Taala Qayamat Tak Be Intihaa Ibadat Ka Sawab Aata Farmaye Ga.....Inshaallah


Note :- Yaad Rahe Ke Mard Is Namaz Ko Juma Ki Namaz Padhne Ke Baad Padhen.

Aur Auraten Zohar Ki Namaz Padhne Ke Baad Padhen.



Alvida Juma Ki Nafil Namaz Ka Tarika.

Niyat :- Niyat Ki Me Ne 2 Rakaat Nafil Namaz Waste Allah Taala Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar


Pehli Rakaat Me Surah Fatiha Ek Baar Aur Zilzal Ek Baar Aur Surah Ikhlas 7 Baar Padhen.

Surah Fatiha Ek Baar

Surah Zilzal Ek Baar

Surah Ikhlas 7 Baar




Fir Dusri Rakaat Me Surah Fatiha Ek Baar Aur Surah Kafiroon 7 Baar Padhen.


Surah Fatiha Ek Baar

Surah Kafiroon 7 Baar


Fir Uske Baad Jis Tarha Baki Namaz Ada Ki Jati Hai Waise Ada Karen.


Juma Ki Namaz Ka Video Dekhne Ke Liye Yahan Click Karen.



Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.