Eid-Ul-Adha Ki Namaz Ka Tarika
Video Dekhne Ke Niche Click Karen
Eid-Ul-Adha Eid-Ul-Fitr Ki 70 Din Baad Aati Hai Yani 2 Mahine 10 Din Eid-Ul-Adha Yani Bakra Eid Jisme Halal Janwar Allah Ki Rah Me Qurban Kiya Jata Hai Aur Is Din Eid-Ul-Adha Ki Namaz Padhna Wajib Hai Aur Eid-Ul-Adha Ki Namaz Me 2 Rakaat Hain Jis Me 6 Takbiren Zaid Hai Aur Ye Namaz Jamat Ke Saath Padhi Jati Hai.
Eid-Ul-Adha Ka Tarika
Sab Se Pehle Niyat Karen
Niyat :- Niyat Ki Me Ne 2 Rakaat Namaz Wajib Eid-Ul-Adha Ki Waste Allah Taala Ke Piche Is Imam Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar.
Fir Allahu Akbar Kehte Hue Dono Haath Pet Par Naaf Ke Niche Bandh Len Fir Sana Padhen.
Fir 3 Takbir Kahen Pehli Takbir Me Dono Haath Kano Tak Uthain Aur Allahu Akbar Kehte Hue Haath Chod Den.
Fir Dusri Takbir Me Dono Haath Kano Tak Uthain Aur Allahu Akbar Kehte Hue Haath Chod Den
Fir Tesri Takbir Me Dono Haath Kano Tak Uthain Aur Allahu Akbar Kehte Hue Haath Pet Par Naaf Ke Niche Bandh Len.
Fir Iske Baad Imam Surah Fatiha Ke Baad Koi Surah Padhenge.
Uske Baad Ruku Aur Do Sajde Karen Fir Dusri Rakaat Ke Liye Khade Ho Jain
Fir Iske Baad Imam Surah Fatiha Ke Baad Koi Surah Padhenge.
Fir Uske Baad 3 Takbir Kahen Pehli Takbir Me Dono Haath Kano Tak Uthain Aur Allahu Akbar Kehte Hue Haath Chod Den.
Fir Dusri Takbir Me Dono Haath Kano Tak Uthain Aur Allahu Akbar Kehte Hue Haath Chod Den.
Fir Tesri Takbir Me Dono Haath Kano Tak Uthain Aur Allahu Akbar Kehte Hue Haath Chod Den.
Fir Allahu Akbar Kehte Hue Ruku Me Jain Fir Do Sajde Karen Aur Baki Namaz Ki Tarha Attahiyat Aur Daroode Ibrahim Aur Duae Masoora Padhen Aur Namaz Mukammal Karen.