Breaking Tracker

1 Se 10 Muharram Ke Roze Ki Fazilat 2023 | Muharram Ke Roze Ki Hakikat | मुहर्रम के रोज़ रखना कैसा है Hadees

Muharram Ke Rozon Ki Fazilat 




Muharram Ul Haram Ka Mahina Bohat Hi Zyada Fazilat Wala Mahina Hai Aisa Nahi Hai Ki Islam Me Sirf 10 Muharram Ul Haram Ki Hi Fazilat Hai Balke Is Pure Mahine Ki Azmat OR Fazilat Bohat Zyada Hai.

Allah Taala Ne Is Pure Mahine Ko Apna Mahina Farmaya Hai, Qurane Paak Me Hai Ke 4 Mahine Hurmat Wale Hain 1) ZilQaddah 2) Zilhijjah 3) Muharram Ul Haram OR 4) Rajjab Ul Murajjab.

Hadees :- Muharram Ul Haram Ke Rozon Se Mutallik Muslim Sharif Ki Hadees Hai Hadess No.1113 Sahabi E Rasool Hazrat Abu Huraira R-A Ne Is Ko Riwayat Kiya Hai. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Ramzan Ke Rozon Ke Baad Sab Se Afzal Muharram Ke Mahine Ke Roze Hain, OR Farz Namazon Ke Baad Sab Se Afzal Raat Ki Namaz Yani Tahajjud Ki Namaz Hai.

( Muslim Sharif : 1113 )

Issi Tarha Ek Dusri Hadees Me Pyare Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Irshad Farmate Hain Ke Muharram Ul Haram Ke Mahine Me Ek Din Ka Roza Ek Mahine Ke Rozon Ke Bara Bar Hai.

( Mojame Sageer )

In Dono Hadeeso Se Maloom Hota Hai Ke Muharram Ul Haram Ke Pure Mahine Me Roza Rakhna Bilkul Jaiz Hai Sawab Hai.

Jab Pure Mahine Me Roza Rakhna Jaiz Hai Sawab Hai To Ek Muharram Ul Haram 10 Muharram Tak Roza Rakhna Ba Darjaye Aula Jaiz Hoga.

OR 10 Muharram Se Mutallik Bukhari Sharif Ki Bohat Hi Mashoor Hadees Hai Hadees No 2004 Sahabi E Rasool Hazrat Ibne Abbas R-A Farmate Hain Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ashura Ke Din Khud Bhi Roza Rakha OR Muslim Sharif Ki Hadees Hai Hadees No 2746 Hazrat Abu Qatadah R-A Bayan Karte Hain Ke Allah Ke Rasool Ne Irshad Farmaya Ke Mujhe Allah Se Umeed Hai Ke Ashura Ka Roza 1 Saal Pehle Ke Gunahon Ko Maaf Kar Deta Hai.

Rakhne Ka Hukm Bhi Farmaya OR 10 Muharram Ka Roza Ek Saal Ke Gunah Bhi Mita Deta Hai.

OR Agar Aap Chaho To 1 Muharram Se 10 Muharram Tak Roze Rakh Sakte Ho.

Ya Fir Sirf 9 Muharram OR 10 Muharram Ka Roza Rakhen. Ya Fir 10 OR 11 Ka Rakhen.



OR Muharram Ke Roze Ki Niyat Is Tarha Karrn

Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.