Breaking Tracker

Ashura Ki Namaz | Ashura Ki Namaz Padhne Ka Tarika | आशूरा की नमाज़ | आशूरा की नमाज पढने का तारिका | Namaz E Hussain

 Ashura Ki Namaz Ka Tarika


Assalamu Alaikum Doston 


10 Muharram Ko Yani Ashura Ke Din Kai Tarha Ke Nafil Namaz Padhi Jati Hain, Duaen Padhi Jati Hain, Wazaif Padhe Jate Hain, Lekin Is Din Ek Khaas Namaz Bhi Padhi Jati Hai Jise Salatul Hussain Bhi Kaha Jata Hai, Ya Namaze Hussaini Kaha Jata Hai.

Is Psot Me Ham Aap Ko Wo Namaz Ke Bare Me Bata Rahe Hain Jo 10 Muharram Ashura Ke Din Hazrat Imam Hussain R-A Padha Karte The, Aur Is Namaz Ka Sawab Hazrat Imam Hussain R-A Ki Bargah Me Aap Pesh Bhi Kar Sakte Ho, Aur Duniya Ke Tamam Musalmano Ka Ye Haq Bhi Hai Ke Wo Imam Hussain Ki Rooh Ko Iska Isale Sawab Pohanchaye,

Ye Namaz kaise Padhi Jati Hai Isme Konsi Suraten Padhi Jati Hai OR Ye Namaz Kab Aur Kis Waqt Padhenge Ye Sab Kuch Aap Is Psot Me Janenge.

Doston Namaz e Ashura Is Namaz Ka Waqt 10 Muharram Ke Din Suraj Nikalne Ke Baad Shuroo Hota Hai Aur Zawal Se Pehle Tak Rehta Hai.


Namaz E Hussain Padhne Se Pehle Aap 2 Rakaat Nafil Namaz Padh Len Aur Is Ki Niyat Is Tarha Karen. 

Niyat :- Niyat Ki Me Ne 2 Rakaat Namaz Nafil Waste Allah Taala Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar,

Tarika :- Har Rakaat Me Surah Fatiha Padhne Ke Baad 10 Baar Surah Ikhlas Padhen, Fir Baki Namazon Ki Tarha Ruku Aur 2 Sajde Kar Ke Is Namaz Ko Mukammal Karen.




-




Namaz Mukammal Hone Ke Baad 9 Baar Ayatul Kursi Aur 9 Baar Darood E Paak Padh Kar Is Namaz Ka Sawab Hazrat Imam Hussain Ki Bargah Me Pesh Karen, Agar Sawab Pohancha Ne Ka Tarika Aap Ko Maloom Hai To Thik Hai Warna Srif  Dil Me Irada Karen Aur Yun Kahen Ke Jo Me Ne Namaz Padhi Hai Iska Sawab Imam Hussain R-A Ki Bargah Me Pesh Ho Jaye Tabhi Sawab Pohanch Jaye Ga.


Iske Baad 2 Rakaat Nafil Namaz Salatul Hussain Ki Niyat Se Padhen, Niyat Is Tarha Karen.

Niyat :- Niyat Ki Me Ne 2 Rakaat Namaz Nafil Waste Allah Taala Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar,

Tarika :- Pehli Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Nashra 25 Baar Aur Dusri Rakaat Me Surah Fatiha Ke Baad Surah Nasr 25 Baar Padhen Fir Baki Namazon Ki Tarha Is Namaz Ko Bhi Mukammal Karen.


Pehli Rakaat Me Surah Fatiha Aur Surah Nashrah :-







Dusri Rakaat Me Surah Fatiha Aur Surah Nasr :-





Fir Salam Ferne Ke Baad Aap 1 Baar Ye Dua Padhenge :-




Ye Dau Aap Jis Bhi Nek Maksab Ke Liye Padhenge Inshaallah Wo Maksad Zaroor Pura Hoga.

Fazilat :-

Ala Hazrat Ashrafi Miya R-A Wazaife Ashrafi Me Is Namaz Ke Bare Me likhte Hain Ke Riwayaton Me Hai Ke Imam Hussain R-A Hamesha Yani Har Saal 10 Muharram Ashura Ke Din Ye 2 Rakaat  Namaz Isi Tarike Se Padha Karte The

Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.