Breaking Tracker

Muharram Ke Roze Ki Niyat Kya Hai | Muharram Ke Roze Ki Fazilat | Roze Ki Niyat Kaise Karen ?

 Muharram Ke Roze Ki Niyat


1 Muharram Se 10 Muharram Ya Fir 9 Muhrram OR 10 Muharram Ke Rozon Ki Niyat Kaise Ki Jati Hai ? Or Iska Tarika Kya Hai Agar Sehri Me Aap Uth Naye Paye To Aap Niyat Kaise Karenge. Niyat Ka Waqt Kab Shuroo Hota Hai OR Kab Khatam Hota Hai.

Sab Se Pehle Ham Niyat Ka Waqt Jan Lete Hain To Doston Muharram Ke Mahine Me Jo Roze Rakhne Jate Hain Ye Nafili Roze Hain, Or 10 Muharram Ka Roza Rakhna Ye Sunnat Hai OR Ye Hadees Se Sabit Hai,

Hadees :- Muharram Ul Haram Ke Rozon Se Mutallik Muslim Sharif Ki Hadees Hai Hadess No.1113 Sahabi E Rasool Hazrat Abu Huraira R-A Ne Is Ko Riwayat Kiya Hai. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Ramzan Ke Rozon Ke Baad Sab Se Afzal Muharram Ke Mahine Ke Roze Hain, OR Farz Namazon Ke Baad Sab Se Afzal Raat Ki Namaz Yani Tahajjud Ki Namaz Hai.

( Muslim Sharif : 1113 )

Doston Nafili Roze Ki Niyat Magrib Baad Se Le Kar Zawal Se Pehle Tak Kis Bhi Waqt Aap Kar Sakte Hain Aap Ka Roza Ho Jaye Ga, Mustahab Hai KE Raat Hi Me Niyat Kar Li Jaye OR Aam Tor Par Jis Waqt Sehri Niyat Ye Bhi Mustahab Waqt Hota Hai,

OR Jo Ham Sehri Khane Ke Liye Uthte Hain Sehri Khate Hain To Ye Hi Sehri Ki Niyat Ho Jati Hai, Issi Niyat Se Kha Kar Hame Roza Rakhna Hai.

Muharram Ke Kisi Bhi Din Roza Rakhen To Is Tarha Niyat Karen Uska Tarika Ye Hai.

Agar Aap Magrib Baad Raat Ke Kisi Hisse Me Tulue Fajr Ke Pehle Pehle Roze Ki Niyta Karen To Is Tarha Karen,

Niyyat :- " Nawaitu An Asuma Gadan Lillahi Taala Min Shahril Muharrami Haza "

 Tarjama :- Niyat Ki Me Ne Kal Ke Din Is Mahine Muharram Ke Roze Ki Waste Allah Taala Ke,

Agar Aap Din Me Yani Tulue Fajr Ke Baad Niyat Karen To Is Tarha Karen

Niyyat :- " Nawaitu An Asuma Hazal Yaouma Lillahi Taala Min Shahril Muharrami Haza "

 Tarjama :- Niyat Ki Me Ne Aaj Ke Din Is Mahine Muharram Ke Roze Ki Waste Allah Taala Ke,

Zuban Se Niyat Karna Mustahab Hai Zaroori Nahi Hai Aap Dil Me Roze Ka Irada Hona Zaroori Hai Agar Aap sirf Dil Me Ye Irada Kar Len Ke Me Is Muharram Ke Mahine Ka Roza Rakh Raha Hoon To Ye Irada Hi Kafi Hoga. 

To Doston Umeed Hai Aap Muharram Ke Roze Ki Niyat Ko Acchi Tarha Se Samajh GAye Honge To Aap Ko Ye Post Kaisa Laga Comment Kar Ke Zaroor Batain.


Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.