Breaking Tracker

Hazrat Piran-E-Pir Dargah History | Jamalpur | Ahmedabad Gujrat | हज़रत पीरान-ए-पीर दरगाह इतिहास In Hindi

 Hazrat Piran-E-Pir Dargah Ahmedabad Gujrat

Pirane Pir Dargah | Hazrat Qutubuddin Qadri Urf Pirane Peer | Jamalpur 



Hazrat Sayed Qutbuddin Al Qadri Al Saifi R-A 

Hazrat Sayed Qutbuddin Al Qadri Al Saifi R-A Ki Paidish Mulke Iraq Ke Shehar Baghdad Sharif Me 821 Hijri Me Hui, OR Aap Ki Paidaish Ke Baad Bohat Hi Jald Aap Ke Walidain Wisal Frama Gaye, Unke Wisal Ke Baad Aap Ke Dada Huzoor Ne Aap Ki Parwarish Ki OR Aap Ki Tarbiyat Farmai, Jab Aap Ke Dada Ne Baghdad Se Hijrat Kar Ke Hindustan Pohanche To Aap Ke Dada Huzoor Ke Saath Aap RA Bhi Tashreef Laye, OR Aap Sab Se Pehle MP Yani Madhe Pradesh Me Tashreef Laye.

OR Yahan Aakar Aap Ne Sukoonat Ikhtiyar Ki OR Yahin Se Deen E Islam Ki Tabligh Wo Ishaat Ke Faraiz Anjam Diye, OR Aap Ki Tabligh Par Sab Se Pehle Suni Jamat Labbaik Kaha Tha, Yani Jo Log Loha Sunhar Wagaira Ka Kaam Karte Hain, Inhi Logo Ne Sab Se Pehle Aap Se Bait Ki OR Rahe Haq Ikhtiyar Kiya.

OR Is Tarike Se Hazrat Qutbuddin Qadri Al Saifi RA Ka Charcha Charon Taraf Phelne Laga OR Isi Shorat Ko Sun Kar Gujrat Ke Jo Badshah The Sultan Bahadur Shah Ne Aap RA Ahmedabad Aane Ki Dawat Di Ke Huzoor Aap Yahan Tashreef Lain OR Yahin Qayam Karen OR Yahin Se Deen E Islam Ki Tabligh Wo Ishaat Ke Faraiz Anjam Den. 


Sultan Bahadur Shah Ki Dawat Par Hazrat Qutbuddin Qadri RA Ahmedabad Tashreef Laye Yahan Par Aap Ne Qayam Kiya, Ahmedabad Me Jamal Pur Ilake Me Aap Ne Qayam Kiya Tha, OR Badshah Bhi Aap Ka Gurovidha OR Ashique Ho Gaya Tha, Badshah Ne Takriban 3 Gaon Aap Ko Tohfe Me Diye OR Aap Ko Iska Jagirdar Banaya.


Hazrat Qutbuddin Qadri RA Ki Dargah Sharif Me Dakhil Hone Ke Baad Dain Janib Bade Se Gumbad Ke Niche 3 Mazarat Hain Jo Darmiyan Me Hain Wo Hazrat Qutbuddin Qadri Al Saifi RA Ki Hai OR Dain Janib Hai Wo Aap Ke Farzand Hazrat Abdul Qadir RA Ki Hai OR Bain Janib Hai Jo Mazar Hai Wo Aap Ke Pote Hazrat Abdul Khalik Sarkar RA Ki Hai. Isi Tarha Pani Ke Haoz Ke Pass Ek Chote Se Gumbad Ke Niche Ek Mazar Hai Ye Aap Ke Par Pote Hazrat Bala Mohiuddin RA Ki Hai.

Hazrat Bala Mohiuddin Ki Ek Zinda Karamat Jo Aaj Bhi Is Dragah Me Maujood Hai Wo Ye Hai Jo Buland Darwaza Hai Usse Lag Kar Ek Diwar Hai Jis Hazrat Bala Mohiuddin RA Ne Ghoda Bana Diya Tha. Jaise Aap Is Photo Me Dekh Sakte Ho,


Is Zinda Karamat Ka Waqia Kuch Yun Hai Ke Hazrat Bala Mohiuddin RA Apne Bachpan Ke Zamane Me The Yani Aap Chote The OR Ek Martaba Ahmedabad Hi Me Jo Sarkhez Roza Hai Jahan Hazrat Shaikh Ahmed Ganj Bakhas Khattu Magribi RA Ki Mazar Sharif Maujood Hai, Is Bargah Me Aap Maujood The OR Wahan Se Aap Ko Jamal Pur Tashreef  Lana Tha, To Aap RA Ne Wahan Par Majood Ek Diwar Ko Hukm Diya Ke Allah Ke Hukm Se Yu Ghoda Ban Jaa, To Foran Us Diwar Ka Ada Hissa Ghoda Ban Gaya OR Aap Ne Uski Sawari Ki Fir Wahan Par Ek Zehrila Sanp Bhi Tha, Jisko Aap Ne Apne Haath Me Le Liya OR Wo Bhi Foran Chabuk ( Hunter ) Ban Gaya.


Fir Uski Madad Se Aap Ghode Ko Dorate Hue Ahmedabad Ke Jamal Pur Ilake Me Pohanche OR Apne Dad Huzoor Ki Bargah Ke Bahari Hisse Me Us Ghode Ko Khada Kya, To Wo Ghoda Dobara Diwar Ki Shakal Me Aa Gaya, OR Wo Sanp Jisko Aap RA Apna Hunter Banaya Tha Wo Aap Ki Mazar Ke Painti Janib Ek Qabr Me Dafan Hai OR Ye Dono Karamate Aaj Bhi Aap Ki Bargah Me Maujood Hai.


Hazrat Qutbuddin Qadri Al Saifi RA Ka Wisale Paak 10 Rabiul Aakhir 911 Hijri Ko Hua. OR Aap Ka Mazare Paak Ahmedabad Me Jamal Pur Ilake Me Maujood Hai.

Dargah Address Ke Liye Niche Link Par Click Karen,

Address


Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.