Namaz E Janazah Padhne Ka Tarika
Namaze Janaza Ka Tarika Bohat Hi Asan Hai.
Yaad Rahe Ke Namaz E Janaza Farz E Kifaya Hai. OR Ye Jamat Ke Saath Padhi Jati Hai,
Janaza Ki Namaz Me 2 Chizen Basic Hain Yani Farz Hain Janaze Ke Rukn Bhi Keh Sakte Hain,
1} Qayam Yani Khade Ho Kar Namaz E Janaza Ada Karna,
2} 4 Martaba Allahu Akbar Kehna,
Ye 2 Chizain Farz Hain.
OR 3 Chizain Sunnat E Muakada Hain,
1 } Ek Baar Sana Padhna
2 } Ek Baar Daroode Ibrahimi Padhna,
3 } Ek Baar Mayyat Ke Liye Dua Padhna, [ Yani Namaze Janaza Ki Dua ]
Ab Ye 3no Chizain Kab OR Kahan Padhna Hai Ye Jan Le, OR Namaz Ka Tarika Kiya Hai,
Namaz E Janaza Ka Tarika OR Uski Niyyat :
Niyyat :
Niyyat Ki Me Ne Namaze Janaza Ki 4 Takbiron Ke Saath Waste Allah Taala Darood Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Par Dua Is Mayyit Ke Piche Is Imam Ke Muh Mera Kaba Sharif Ki Taraf Allahu Akbar,
Fir Pehli Takbir Yani Allahu Akbar Kehte Hue Dono Haath Naaf Ke Niche Bandh Len Fir Sana Padhen
Fir Imam Dusri Takbir Yani Allahu Akbar Kahenge Aap Bhi Dhimi Awaz Se Allahu Akbar Kahen Lekin Haath Na Uthain Fir Daroode Ibrahimi Padhen,
Fir Imam Tesri Takbir Yani Allahu Akbar Kahenge Aap Bhi Dhimi Awaz Me Allahu Akbar Kahen Lekin Haath Na Uthain Fir Namaze Janaza Ki Dua Padhen [ Yani Mayyat Ke Dua Jo Padhi Jati Hai ]
| ||
Fir Uske Baad Imam Chaothi Takbir Yani Allahu Akbar Kahenge Aap Bhi Dhimi Awaz Me Allahu Akbar Kahen Lekin Haath Na Uthain
Fir Imam Assalamu Alaikum Wa Rahmatullah Kehte Hue Dono Taraf Salam Ferenge Aap Bhi Yehi Karen Salam Kehte Hue Dono Haathon Ko Niche Chood Den OR Salam Fer Len,
Ab Hamari Namaz Muakammal Hui Fir Uske Baad Mayyit Ke Liye Haathon Ko Utha Kar Dua Karen.
Doston Umeed Karta Hoon Ke Aap Ko Ye Post Pasand Aaya Hoga.........Jazakallahu Khaira